Piya se milke aaye nain, Piya se mil ke aaye nain.
Haay main kyaa karoon.
Aaye na mujhko ab to chain, Aaye na mujhko ab to chain.
Haay main kyaa karoon.
Dil ki dhadkan dheemee thee, Mausam bhi mastana tha.
Main bhi khoee khoee thi, Dil bhi kuchh Deewana tha.
Taubaa mujhe aaye sharam aage kahoon bhi to kya.
Haay main kyaa karoon.
Piya se milke aaye nain haay main kya karoon.
Chhueemuee see ban baithee baahon ne aise gheraa,
Aankh khulee to maine dekha shaam se huaa savera.
Kaise kahoon kisse kahoon, aayaa badaa hi majaa.
Haay main kyaa karoon.
Piya se milke aaye nain,Piya se milke aaye nain.
Haay main kyaa karoon.
Aaye na mujhko ab to chain, Haay main kyaa karoon.
4 months ago
0 comments:
Post a Comment