Ashvinshuddhpaksh ko shuru hoti hai Navratri,
Jisme poojee jati hai maan Jagdambaa , Bhavani aur Jagdaatri.
Vijaydashamee arthaat asatya par satya ki vijay,
Jisse satyawan log bane rahein nirbhay.
Vijaydashmee ke pashchaat aataa hai Karwachauth,
Karwa arthaat mitti ka ghadaa jise pyaar se sajaayaa jata hai.
Pati ki lambee umar ke liye vrat rakhkar,
Jeewan safal banaayaa jata hai.
Kartik maheene mein aataa hai deepon ka tyohaar,
Jise Bharatwasee kahte hain Deepawali.
Deepon ke is tyohaar se bhar jati hai dilon mein raonak,
Aur jeevan mein khushhalee.
Deepon ka ye tyohaar bahut hi niraalaa hai,
Kyonki mitaataa hai ye andhkaar aur phailaataa jeevan mein ujaalaa hai.
Jab huee Shree Ramchandra ki Ayodhyaa wapasi,
Tab bahut anandvibhor huey Ayodhyaawasi.
Ayodhyaawasiyon ne deepon ko jalaakar prakat ki apnee khushiyaan,
Yugon yugon se is reeti ko duhraatee aa rahi hai ye duniyaa.
Jab amrit praapti hetu saagarmanthan kiyaa gayaa,
Praapt huye anekon ratn aur Vishnupriyaa.
Vishnupriyaa arthaat Mahaalakshmee ne jab Shree hari kaa varan kiyaa,
Devtaa bahut prasann huey aur Shree hari aur Mahaalakshmee ko naman kiyaa.
Deepawali ko Mahaalakshmee ke janamdin ke roop mein manaayaa jata hai,
Kyonki Mahaalakshmee ki kripaa se hi jeevan sukhon se bhar jata hai.
Agar Shree hari Jagat Paalak hain to Mahaalakshmee raajasjananee hain,
Chaaron or hoti hai kalaakriti Rangolee ki,
Khooshboo se bhar jata hai man Chakalee, Karanjee ki.
Chaaron or chaaee hoti hai pataakhon ki dhoom,
Jisme log pasand karte hain honaa gum.
Kandeel ko dekho to aisaa lagtaa hai ki aasmaan me taaraa jagmagaa rahaa hai,
Is tyohaar mein hum, tum hi nahi saaraa jahaan khushiyaan manaa rahaa hai.
Yugon yugon tak log is paavan parv ko manaate rahenge,
Shree hari aur Mahaalakshmee ke gun gaate rahenge.
0 comments:
Post a Comment