Saturday, December 29, 2007

Romantic Shayaries

Aapkee muskaan kabhee aapse naa chhoote.
Aapkaa har dard minton mein toote.
Mehrbaan ho khudaa itnaa aap per ki,
aasmaan se taare bhee aapkee marjee se tootein.


Samaa jaao mujhme is tarah,
jaise kaajal aankhon mein samaataa hai.
Sajaa do dil ko khwabon se is tarah,
jaise ambar phoolon ko barsaataa hai.
Bas jaao dil mein is tarah,
jaise yaadein dil mein bastee hain.
Jhalak jaao aankhon mein is tarah,
jaise taaron kee roshnee jhalaktee hai.


Nichhawar hai tum par mera tan man.
Maan chukee hoon main tumhe apnaa sajan.
Milne ke liye tumse mera man,
kya kya nahee kartaa jatan.
Jab tum aate ho mere kareeb,
to aankhon mein hayaa kee laalee chhaa jatee hai.
Honth ban jate hain pyaar ka pyalaa,
aur bindiyaa meree chamak jaatee hai.


Dhaltee shaam kaa khula ehsaas hai.
Mere dil mein uskee jagah kuchh khaas hai.
Wo nahee yahaan,maaloom hai mujhe,
par dil kahtaa hai wo yaheen mere paas hai.

0 comments: